Punchlinemantusah939 presents
badla to yesa lunga lala dekhane wala bhi bolega bohot khatrnak mot mara heA Punchline by Mantu Sah
@mantusah939 路
Related
View allSofiya..... princessDialogbaaz
@sd2979142 路
A Dialogbaaz line
Sabke saamne mazboot ban kar rehti hai, par kabhi-kabhi chhoti si baat bhi uske dil ko chhoo jaati hai.
Gussa jaldi aa jaata hai, magar aankhon mein aansu bhi chupke se aa jaate hain. Har kisi ki fikr karti hai, sabko sambhaal leti hai, par apni pareshaniyan aksar khud mein hi chhupa leti hai.
Ziddi hai, apni baat par ad jaati hai, par dil se bahut naram hai. Khush dikhti hai sabke liye, lekin kabhi-kabhi bina wajah bhi khud se hi ladti rehti hai.
Use bhi bas itna sa pyaar chahiye koi uski khamoshi samjhe, use bina kahe gale laga le, aur kahe... "Tum bhi thak sakti ho."Starring @sd2979142
Sofiya..... princessDialogbaaz
@sd2979142 路
A Dialogbaaz line
"Kitna toota hua hoga woh insaan jisne yeh likha:
Main nahi chahta ki meri poori zindagi sirf logon ko chhodte hue guzar jaaye.
Ek baar bas koi aisa mile, jo mere liye lade.. jo mujhe jaan bujkar chune...
aur mujhe yeh mehsoos karaye ki main kisi ke rukne ke layak hoon."Starring @sd2979142
Sofiya..... princessDialogbaaz
@sd2979142 路
A Dialogbaaz line
Kuch raaste manzil tak nahi, khud se milne tak le jaate hain,
Kuch log zindagi mein aakar bhi yaadon mein reh jaate hain.
Har muskurahat ke peeche khushi ho, zaroori toh nahi,
Kuch khamosh chehre bhi hazaar kahaniyan suna jaate hain.
Ab na kisi se shikayat hai, na waqt se koi sawaal,
Bas khud ko samajhne mein guzar raha hai har ek khayaal. 馃Starring @sd2979142
Suruchi ShriNigamAawaz
@suruchishrin 路
A Dialogbaaz line
#EK NEK SALAHA#
#YADI BHOOLVAS GALAT RAAH PAR CHAL PADE #TO JIS SAMAY YE #EHSAAS HOTA HAI USI PAL US GALAT RAAH PAR AUR #AAGE BADHNA THEEK NA HOTA HAI KYONKI HUME #HUMARI ANTAR AATMA HUMARE HAR PAL SATH HOTI HAI AUR JAB USE LAGTA HAI KI AB MUJHE ISE SACHET KARNE KI #JAROORAT HAI USI PAL #SATH NIBHATE HUYE SACHET KARTI HAI BAS YE HUMARE UPAR HAI KI HUM #DUNIYA KI SUNTE SUNTE APNI ANTAR AATMA KI SUN KE #SAMAJHTE HAI YA ANDEKHA KAR DETE HAI#
#EK SACHCHAI HUMARI ANTAR AATMA SE JYADA #BEHTAR HUME NA TO KOI #SAMJHTA HAI AUR NA HI #PARWAH KAR SAKTA HAI# 鈽猴笍Starring @suruchishrin
team_of_13Creator
@team_of_13 路
A Dialogbaaz line
....CONTINUE...
ANSULAJI DILO KI BANDISH HAI PYAAR...
KABHI YADOON MAIN WAQT AISE THAR JATA HAI KE NA DIN KA NA RAAT KA PATA CHALTA HAIN....
TOH KABHI JAGTE HUA BHI NIND KA AHESHASH HOTA HAN...
TOH KABHI NIND MAIN JAGTE HUA KA AHESHASH HOTA HAIN....
YEH ANSULAJI DILO KI BANDISH AISI HAIN KE KUDKO HI KUD KA HOSH UDA DETA HAI YEH PYAAR...
NEXT LINE CONTINUE....WAIT...
HAVE A NICE NICE NIGHT AHEAD AND HAVE SWEET DREAMS...
LOVE U ALL FROM....
BOTTOM OF MY
鉂わ笍鉂わ笍鉂わ笍......TEAM_OF_13Starring @team_of_13
Sofiya..... princessDialogbaaz
@sd2979142 路
A Dialogbaaz line
Ghadi ki suiyaan kabhi peeche mudkar nahi dekhti,
Waqt ki kitaab kisi ke liye rukkar nahi likhti.
Hum kal ki fikr mein aaj ko gawa dete hain,
Jo paas hota hai, usi ki keemat bhula dete hain.
Zindagi ka asli hunar bas itna sa seekh lo,
Jo pal mila hai, use jeena kabhi mat bhoolo. 鉂わ笍Starring @sd2979142
Sofiya..... princessDialogbaaz
@sd2979142 路
A Dialogbaaz line
Abh rah dekhenge teri Chahe zamane lag jaye Dil aj rota hain tabh bhi royega Chahe ansu sukh jaye.
Badhta jaaye Jo faasla tujhse Meri Yeh ratein aur lambi hone lagi Mere rooh ka tu ek sitara tha naseebo k badal jiski roshni churane lagi.
Tere sath bitaayen pal abh lage jayse koi sapna
tere jaane k bad nahi banaya kisiko apna.
Than li hain ki ishi tanhai mein jiyunga yeh zindagi
Chahe kuch bhi ho jaye nahi chodunga teri bandagi.馃挃
Starring @sd2979142
Sofiya..... princessDialogbaaz
@sd2979142 路
A Dialogbaaz line
Ek patang hawa mein kuch door tak udkar ruk gayi,
Uski dor kisi purane chhat ke kone mein ulajh gayi.
Kuch khwaab bhi manzil se pehle tham jaate hain,
Kabhi halaat, kabhi apne hi kadam rok jaate hain.
Par udne ki khwahish kabhi kam nahi honi chahiye,
Dor uljhi ho toh kya, umeed kam nahi honi chahiye. 鉂わ笍Starring @sd2979142
0 comments
No comments yet.